Kalakar

Log haste hai humpe jaise mazaak hain hum
Sach pucho to bebaak hain hum

Kaagaz ko paison me nahi rangon me tolte hai
Kai baar bina soche hi bahot kuch bolte hai

Itne me kitna milega ye humne samjha nahi
Duniya ko kala safed kabhi dekha nahi

Lafzon ki ginti karo to fariyaad karte hain
Aansuon ko rokte nahi, azaad karte hain

Waqt ko ghanton me nahi sapno me guzaarte hain
Pyar me deewangi na ho to dur bhaagte hain

Hum har chhoti si baat ko mehsoos karte hain
Isliye kabhi kabhi khud ko duniya se dur karte hain

Aapke tareekon ke meyaar pe hum nahi utar sakte hain
Panchhi apni udaan naap ke kaise udd sakte hain

Log haste hai humpe jaise mazaak hai hum
Sach pucho to aaj maachis dibiya me hai Kal kahoge ke aag hain hum

> by Huma Samir